Intezar
Hai kaun jiska hai mujhe intejar,
Chaahat main jiski hai dil dhadakta baar baar!
Sanjoye baithha hai dil jiske sapne hazaar,
Kabhi toh kisi din mile ek baar!!
Nahin koi aisa nazar main shumaar!
Jo duniya main hamsa hi ho tanha aur bekarar!
Khamosh reh kar bhi khud se batein karta hun appar,
Kya daalna padega ab inhi ka achhar!
Kahoon baat dil ki to aaye mujhe bhi karaar,
Jata hoon kahne jise baat dilki woh sunne se pahle ho jata faraar!
Tanhaai ne barson ki mujhe kiya hai beemar,
Lagta hai duniya main ayaa hun bekaar!
Rishton aur dostee ka ab lagta hai bazzar,
Insaniyat ki bhi ab jald banegi mazaar!!
Chale jayenge hum jab jahan ke us paar,
Dhundega humain dil padegi daraar!
Ygupt